Shayari
kisi manzil mein bhi haasil na huaa dil ko qaraar
zindagi khvaahish-e-naakaam hi karte guzri
mausam 'ajib rahtaa hai dil ke dayaar kaa
aage hain lu ke jhonke bhi ThanDi havaa ke baad
موسم عجیب رہتا ہے دل کے دیار کا
آگے ہیں لو کے جھونکے بھی ٹھنڈی ہوا کے بعد
मौसम 'अजीब रहता है दिल के दयार का
आगे हैं लू के झोंके भी ठंडी हवा के बा'द

kisi manzil mein bhi haasil na huaa dil ko qaraar
zindagi khvaahish-e-naakaam hi karte guzri
us ke aangan mein raushni thi magar
ghar ke andar baDaa andheraa thaa
sabz mausam se mujhe kyaa lenaa
shaakh se apni judaa huun baabaa
meraa mazhab ishq kaa mazhab jis mein koi tafriq nahin
mere halqe mein aate hain 'tulsi' bhi aur 'jaami' bhi
saaz se mere ghalat naghmon ki ummid na kar
aag ki aag hai dil mein to dhuaan kyunkar ho
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kaabe ko jaataa kis liye hindostaan se main
kis but mein shahr-e-hind ke shaan-e-khudaa na thi
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh