Shayari
naala kartaa huun log sunte hain
aap se meraa kuchh kalaam nahin
Q
Qalaq Merathikidhar qafas thaa kahaan ham the kis taraf ye qaid
kuchh ittifaaq hai sayyaad aab-o-daane kaa
کدھر قفس تھا کہاں ہم تھے کس طرف یہ قید
کچھ اتفاق ہے صیاد آب و دانے کا
किधर क़फ़स था कहाँ हम थे किस तरफ़ ये क़ैद
कुछ इत्तिफ़ाक़ है सय्याद आब-ओ-दाने का
naala kartaa huun log sunte hain
aap se meraa kuchh kalaam nahin
amn aur tere ahd mein zaalim
kis tarah khaak-e-rahguzar baiThe
har sang mein kaabe ke nihaan ishva-e-but hai
kyaa baani-e-islaam bhi ghaarat-gar-e-din thaa
ham us kuche mein uThne ke liye baiThe hain muddat se
magar kuchh kuchh sahaaraa hai abhi be-dast-o-paai kaa
be-takalluf maqaam-e-ulfat hai
daagh uTThe ki aabla baiThe
tu hai harjaai to apnaa bhi yahi taur sahi
tu nahin aur sahi aur nahin aur sahi
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
kaise tanhaa raat kaTegi
yaadon ki gaThri hi kholein
manzar-e-sarv-o-saman yaad aayaa
phir se gum-gashta vatan yaad aayaa
zamaana dost hai kis kis ko yaad rakkhoge
khudaa kare ki tumhein mujh se dushmani ho jaae
mujhe to is darja vaqt-e-rukhsat sukun ki talqin kar rahe ho
magar kuchh apne liye bhi sochaa main yaad aayaa to kyaa karoge