Shayari
ek patthar ki dast-e-yaar mein hai
phuul banne ke intizaar mein hai
ham sitaaron ki tarah Duub gae
din qayaamat ke intizaar mein hai
ہم ستاروں کی طرح ڈوب گئے
دن قیامت کے انتظار میں ہے
हम सितारों की तरह डूब गए
दिन क़यामत के इंतिज़ार में है

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
tujhe gale se lagaa ke bhi dekhaa jaaegaa
abhi to mujh ko tiraa intizaar karnaa hai
phunkaa hai kis ne gosh-e-mohabbat mein ai khudaa
afsun-e-intizaar tamannaa kahein jise
ghazab kiyaa tire vaade pe e'tibaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intizaar kiyaa
hamein bhi aaj hi karnaa thaa intizaar us kaa
use bhi aaj hi sab vaade bhuul jaane the