Shayari
yahi hai rasm-e-zamaana to phir gila kaisaa
koi jalaae charaaghon ko aur bujhaae koi
Q
Qasri Kanpurijab se ik shakhs mere dhyaan mein hai
kitni khushbu mire makaan mein hai
جب سے اک شخص میرے دھیان میں ہے
کتنی خوشبو مرے مکان میں ہے
जब से इक शख़्स मेरे ध्यान में है
कितनी ख़ुश्बू मिरे मकान में है
yahi hai rasm-e-zamaana to phir gila kaisaa
koi jalaae charaaghon ko aur bujhaae koi
koi manzil ke qarib aa ke bhaTak jaataa hai
koi manzil pe pahunchtaa hai bhaTak jaane se
aap haq-goi ki jo chaahein sazaa dein mujh ko
aap khud jaise hain vaisaa hi kahaa hai main ne
ye kaun shakhs hai is ko zaraa bulaao to
ye mere haal pe kyuun muskuraa ke guzraa hai
ghalat hai aap kaa andaaza-e-nazar 'qasri'
buraa zarur huun par is qadar buraa bhi nahin
apne kaandhon se uThaae hue haalaat kaa bojh
raaste chikh paDe log jidhar se guzre
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
vahaan iid kyaa vahaan diid kyaa
jahaan chaand raat na aai ho
shabistaan mein raho baaghon mein khelo mujh se kyuun puchho
ki raatein kis tarah kaTti hain din kaise guzarte hain
kyaa kyaa na pyaas jaage mire dil ke dasht mein
hasrat bhi ek aag hai laage jo raat bhar