Shayari
mai pi jo chaahe aatish-e-dozakh se tu najaat
jaltaa nahin vo uzv jo tar ho sharaab mein
Q
Qayem Chaandpurihaathon se dil o diida ke aayaa huun nipaT tang
aankhon ko rouun yaa main karun sarzanish-e-dil
ہاتھوں سے دل و دیدہ کے آیا ہوں نپٹ تنگ
آنکھوں کو روؤں یا میں کروں سرزنش دل
हाथों से दिल ओ दीदा के आया हूँ निपट तंग
आँखों को रोऊँ या मैं करूँ सरज़निश-ए-दिल
mai pi jo chaahe aatish-e-dozakh se tu najaat
jaltaa nahin vo uzv jo tar ho sharaab mein
kahtaa hai aaina ki hai tujh saa hi ek aur
baavar nahin to laa main tire ru-ba-ru karun
gandumi rang jo hai duniyaa mein
meri chhaati pe muung daltaa hai
iraad kar na paDh ke miraa khat ki ye tamaam
be-rabtiyaan hain samra-e-hangaam-e-ishtiyaaq
koi din aage bhi zaahid ajab zamaana thaa
har ik mohalle ki masjid sharaab-khaana thaa
TuuTaa jo kaaba kaun si ye jaa-e-gham hai shaikh
kuchh qasr-e-dil nahin ki banaayaa na jaaegaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil-e-ushshaaq parindon ki tarah uDte hain
is bayaabaan mein kyaa ek bhi sayyaad nahin
mazhar-e-haq kab nazar aataa hai in shaikhon ke taiin
bas-ki aaine par in aahan-dilon ke zang hai
miraa dil baar-e-ishq aisaa uThaane mein dilaavar hai
jo us ke koh duun sar par to us ko kaah jaane hai
ishq ne kishvar-e-dil luuTaa hai
aa ke aabaad karo banda-navaaz