Shayari
ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
dil-e-ushshaaq parindon ki tarah uDte hain
is bayaabaan mein kyaa ek bhi sayyaad nahin
دل عشاق پرندوں کی طرح اڑتے ہیں
اس بیابان میں کیا ایک بھی صیاد نہیں
दिल-ए-उश्शाक़ परिंदों की तरह उड़ते हैं
इस बयाबान में क्या एक भी सय्याद नहीं

ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas
bul-havas go karein tere lab-e-shirin par hujum
talkh mat ho ki miThaai se magas aati hai
meraa maashuq hai mazon mein bharaa
kabhu miThaa kabhu salonaa hai
sau baar taar taar kiyaa to bhi ab talak
saabit vahi hai dast o garebaan ki dosti
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
be-zabaani zabaan na ho jaae
raaz-e-ulfat ayaan na ho jaae
ham se pahle bhi mohabbat kaa yahi anjaam thaa
qais bhi naashaad thaa farhaad bhi naakaam thaa
kyaa kahun tum se main ki kyaa hai ishq
jaan kaa rog hai balaa hai ishq
ye jo lahore se mohabbat hai
ye kisi aur se mohabbat hai