Shayari
'saalik' chakhaaun un ko mazaa jaur kaa abhi
Dartaa huun kuchh buraa na kahein sin ke das mujhe
Q
Qurban Ali Salik Beghai in dinon mein gardish-e-chashm-e-butaan kaa daur
teraa zamaana gardish-e-dauraan nikal gayaa
ہے ان دنوں میں گردش چشم بتاں کا دور
تیرا زمانہ گردش دوراں نکل گیا
है इन दिनों में गर्दिश-ए-चश्म-ए-बुताँ का दौर
तेरा ज़माना गर्दिश-ए-दौराँ निकल गया
'saalik' chakhaaun un ko mazaa jaur kaa abhi
Dartaa huun kuchh buraa na kahein sin ke das mujhe
bach gayaa tir-e-nigaah-e-yaar se
vaaqai aaina hai faulaad kaa
ab tak bhi mere hosh Thikaane nahin hue
'saalik' kaa haal raat ko aisaa sunaa ki bas
tang-dasti agar na ho 'saalik'
tandurusti hazaar neamat hai
sayyaad aur qaid-e-qafas se kare rahaa
jhuTi khabar kisi ki uDaai hui si hai
kyaa sair ho bataa de koi but-kade ki raah
jaataa huun raah kaabe ki main puchhtaa huaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad