Shayari
ik siraa uljhi hui Dor kaa haath aayaa hai
dusre tak bhi pahunch jaaungaa suljhaate hue
R
Rahmatullah Khanadaavaton ke liye mere paas vaqt kahaan
mohabbaton ke liye hi ye zindagi kam hai
عداوتوں کے لیے میرے پاس وقت کہاں
محبتوں کے لیے ہی یہ زندگی کم ہے
अदावतों के लिए मेरे पास वक़्त कहाँ
मोहब्बतों के लिए ही ये ज़िंदगी कम है
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
qaafile raat ko aate the udhar jaan ke aag
dasht-e-ghurbat mein jidhar ai dil-e-sozaan ham the