Shayari
aahaTein sun rahaa huun yaadon ki
aaj bhi apne intizaar mein gum
aks-e-zulf-e-ravaan nahin jaataa
dil se gham kaa dhuaan nahin jaataa

aahaTein sun rahaa huun yaadon ki
aaj bhi apne intizaar mein gum
un jhiil si gahri aankhon mein
ik lahar si har dam rahti hai
huiin aankhein ajab behaal ab ke
ye baarish kar gai kangaal ab ke
ishq mein bhi siyaasatein niklin
qurbaton mein bhi faasla niklaa
uTh rahaa hai dhuaan mire ghar mein
aag divaar se udhar ki hai
aur kuchh yuun huaa ki bachchon ne
chhinaa-jhapTi mein toD Daalaa mujhe
Dil dhoondta hai phir wahi fursat-e-shab-o-roz
Naaz uthana, naaz uthana, naaz uthana
Hazaaron khwahishein aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle
main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle
dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas
baDe baDe gham khaDe hue the rasta roke raahon mein
chhoTi chhoTi khushiyon se hi ham ne dil ko shaad kiyaa
khud apne se milne kaa to yaaraa na thaa mujh mein
main bhiiD mein gum ho gai tanhaai ke Dar se
dil naa-umid to nahin naakaam hi to hai
lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai