Shayari
kabhi khiffat chhupaane mein kabhi rishte nibhaane mein
kabhi andhaa kabhi bahraa kabhi gungaa banaa huun main
sab khvaab hamaare sach hote
to niind hamaari uD jaati
سب خواب ہمارے سچ ہوتے
تو نیند ہماری اڑ جاتی
सब ख़्वाब हमारे सच होते
तो नींद हमारी उड़ जाती

kabhi khiffat chhupaane mein kabhi rishte nibhaane mein
kabhi andhaa kabhi bahraa kabhi gungaa banaa huun main
rasman gale to milte hain ham 'iid par zarur
lekin dilon ke faasle hote nahin hain duur
rishte vaa'de baatein yaadein chhoD ke aage aayaa huun
pichhe muD kar dekhungaa to patthar kaa ban jaaungaa
shaadi ke din mu'aamla gambhir ho gayaa
us ne kahaa qubul magar aankh maar ke
baDe hi josh se insaaf ki zanjir kheinchi thi
baDi hi zor se ghanTi giri hai TuuT kar sar par
zaruri hai ki dil par 'aql pahre-daar ho jaae
na jaane kin sharaait par tiraa iqraar ho jaae
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad