Shayari
apni saansein miri saanson mein milaa ke ronaa
jab bhi ronaa mujhe siine se lagaa ke ronaa
khud-sar hai agar vo to maraasim na baDhaao
khuddaar agar ho to anaa tang karegi
خود سر ہے اگر وہ تو مراسم نہ بڑھاؤ
خوددار اگر ہو تو انا تنگ کرے گی
ख़ुद-सर है अगर वो तो मरासिम न बढ़ाओ
ख़ुद्दार अगर हो तो अना तंग करेगी

apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
koi daanaa koi divaana milaa
shahar mein har shakhs begaana milaa
dekho mujhe ab meri jagah se na hilaanaa
phir tum mujhe tartib se rakh kar nahin jaate
koi dil-lagi dil lagaanaa nahin hai
qayaamat hai ye dil kaa aanaa nahin hai