Shayari
chehre to jhurriyon se bhare dil javaan hain
din mein hain shaikh raat mein salmaan-khaan hain
shab bhar main torch Daal ke ye dekhtaa rahaa
bijli kaa balb jaltaa hai yaa hai bujhaa huaa
شب بھر میں ٹارچ ڈال کے یہ دیکھتا رہا
بجلی کا بلب جلتا ہے یا ہے بجھا ہوا
शब भर मैं टार्च डाल के ये देखता रहा
बिजली का बल्ब जलता है या है बुझा हुआ

chehre to jhurriyon se bhare dil javaan hain
din mein hain shaikh raat mein salmaan-khaan hain
ab aap hi bataaein vo kaise nibhaaegaa
jis ko nasib dum nahin vo kyaa hilaae gaa
ek qaidi subh ko phaansi lagaa kar mar gayaa
raat bhar ghazlein sunaain us ko thaanedaar ne
mahngaai ke zamaane mein bachchon ki rel-pel
aisaa na ho kamar tiri mahngaai toD de
hamaare laal ko darkaar hai vahi laDki
ki jis kaa baap police mein ho kam se kam deputy
kitne chehre lage hain chehron par
kyaa haqiqat hai aur siyaasat kyaa
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
ik bosa maangtaa huun main khairaat-e-husn ki
do maal ki zakaat ki daulat ziyaada ho
hamein to baagh tujh bin khaana-e-maatam nazar aayaa
idhar gul phaaDte the jaib roti thi udhar shabnam
soch din raat yahi hai tire divaane ki
jaaiye shahr ko par chhoDiye sahraa kyunkar