Shayari
vo miri khaak-nashini ke maze kyaa jaane
jo miri tarah tiri raah mein barbaad nahin
sailaab-e-tabassum se darmaan-e-jaraahat kar
TukDe dil-e-bismil ke aaluda-e-khun kab tak
سیلاب تبسم سے درمان جراحت کر
ٹکڑے دل بسمل کے آلودۂ خوں کب تک
सैलाब-ए-तबस्सुम से दरमान-ए-जराहत कर
टुकड़े दिल-ए-बिस्मिल के आलूदा-ए-ख़ूँ कब तक

vo miri khaak-nashini ke maze kyaa jaane
jo miri tarah tiri raah mein barbaad nahin
aankh tumhaari mast bhi hai aur masti kaa paimaana bhi
ek chhalakte saaghar mein mai bhi hai aur mai-khaana bhi
kaafir gesu vaalon ki raat basar yuun hoti hai
husn hifaazat kartaa hai aur javaani soti hai
tere naghmon se hai rag rag mein tarannum paidaa
ishrat-e-ruh hai zaalim tiri aavaaz nahin
yahi sahbaa yahi saaghar yahi paimaana hai
chashm-e-saaqi hai ki mai-khaane kaa mai-khaana hai
nazar karam ki faraavaaniyon pe paDti hai
phir apne daaman-e-khaaki ko dekhtaa huun main
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
surur-e-jaan-fazaa deti hai aaghosh-e-vatan sab ko
ki jaise bhi hon bachche maan ko pyaare ek jaise hain
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
urdu mein baat kijiye urdu mein boliye
haq hai zabaan kaa pyaar kaa ras is mein gholiye