Shayari
ghar ke baare mein yahi jaan sakaa huun ab tak
jab bhi lauTo koi darvaaza khulaa hotaa hai
raushni hai kisi ke hone se
varna buniyaad to andheraa thaa
روشنی ہے کسی کے ہونے سے
ورنہ بنیاد تو اندھیرا تھا
रौशनी है किसी के होने से
वर्ना बुनियाद तो अंधेरा था

ghar ke baare mein yahi jaan sakaa huun ab tak
jab bhi lauTo koi darvaaza khulaa hotaa hai
un se bachnaa ki bichhaate hain panaahein pahle
phir yahi log kahin kaa nahin rahne dete
bas is khayaal se dekhaa tamaam logon ko
jo aaj aise hain kaise vo kal rahe honge
taajjub un ko hai kyuun meri khud-kalaami par
har aadmi kaa koi raaz-daan zaruri hai
ek lamhe mein zamaana huaa takhliq 'malaal'
vahi lamha hai yahaan aur zamaana hai vahi
ek rahne se yahaan vo maavaraa kaise huaa
sab se pahlaa aadmi khud se judaa kaise huaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
vo jo ham mein tum mein qaraar thaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
vahi yaani vaada nibaah kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas