Shayari
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
koi aisaa ahl-e-dil ho ki fasaana-e-mohabbat
main use sunaa ke rouun vo mujhe sunaa ke roe
کوئی ایسا اہل دل ہو کہ فسانۂ محبت
میں اسے سنا کے روؤں وہ مجھے سنا کے روئے
कोई ऐसा अहल-ए-दिल हो कि फ़साना-ए-मोहब्बत
मैं उसे सुना के रोऊँ वो मुझे सुना के रोए

husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
zindagi kis tarah kaTegi 'saif'
raat kaTti nazar nahin aati
ye aalaam-e-hasti ye daur-e-zamaana
to kyaa ab tumhein bhuul jaanaa paDegaa
hamein khabar hai vo mehmaan ek raat kaa hai
hamaare paas bhi saamaan ek raat kaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
ajab chiiz hai ye mohabbat ki baazi
jo haare vo jiite jo jiite vo haare
shabaab kar diyaa meraa tabaah ulfat ne
khizaan ke haath ki boi hui bahaar huun main
ham ne to khud se intiqaam liyaa
tum ne kyaa soch kar mohabbat ki
safar ki shaam sitaara nasib kaa jaagaa
phir aasmaan-e-mohabbat pe ik hilaal khilaa
ham mohabbat ki intihaa kar dein
haan magar ibtidaa kare koi