Shayari
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
shams-o-qamar se aur kabhi kahkashaan se ham
guzre hain laakh baar had-e-laa-makaan se ham
شمس و قمر سے اور کبھی کہکشاں سے ہم
گزرے ہیں لاکھ بار حد لا مکاں سے ہم
शम्स-ओ-क़मर से और कभी कहकशाँ से हम
गुज़रे हैं लाख बार हद-ए-ला-मकाँ से हम

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
kaun samjhe ham pe kyaa guzri hai 'naqsh'
dil laraz uThtaa hai zikr-e-shaam se
chhoD kar ham ko milaa shama-rukhon se jaa kar
isi qaabil hai tu ai dil ki jalaaein tujh ko