Shayari
tiraa didaar ho hasrat bahut hai
chalo ki niind bhi aane lagi hai
phuul hi phuul yaad aate hain
aap jab jab bhi muskuraate hain
پھول ہی پھول یاد آتے ہیں
آپ جب جب بھی مسکراتے ہیں
फूल ही फूल याद आते हैं
आप जब जब भी मुस्कुराते हैं

mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
yaadon ne le liyaa mujhe apne hisaar mein
meraa vajud haafiza ban kar sukaD gayaa
dil ko dukhaati hai phir bhi kyuun achchhi lagti hai
yaadon ki ye shaam suhaani dil mein qaid hui
vaqt-e-rukhsat alvidaaa kaa lafz kahne ke liye
vo tire sukhe labon kaa thartharaanaa yaad hai
ujli ujli khvaahishon par niind ki chaadar na Daal
yaad ke rauzan se kuchh taaza havaa bhi aaegi
pahle to meri yaad se aai hayaa unhein
phir aaine mein chuum liyaa apne-aap ko