Shayari
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
naam meraa yaad karke chuskiyon ke biich mein
kyaa hui hai chaae ke cup mein tire halchal kabhi
نام میرا یاد کرکے چسکیوں کے بیچ میں
کیا ہوئی ہے چائے کے کپ میں ترے ہلچل کبھی
नाम मेरा याद करके चुस्कियों के बीच में
क्या हुई है चाय के कप में तिरे हलचल कभी

mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
din kaTaa fariyaad se aur raat zaari se kaTi
umr kaTne ko kaTi par kitni khvaari se kaTi
naam tumhaaraa haath pe likhnaa yaad rahaa
ham us ko taqdir banaanaa bhuul gae
yaad aai jab mujhe 'farhat' se chhoTi thi bahan
mere dushman ki bahan ne mujh ko raakhi baandh di
yaad thaa 'suqraat' kaa qissa sabhi ko 'ehtiraam'
sochiye aise mein baDh kar sach ko sach kahtaa to kaun