Shayari
umr-e-daraaz maang ke laai thi chaar din
do aarzu mein kaT gae do intizaar mein
kyuun jaam-e-sharaab-e-naab maangun
saaqi ki nazar mein kyaa nahin hai
کیوں جام شراب ناب مانگوں
ساقی کی نظر میں کیا نہیں ہے
क्यूँ जाम-ए-शराब-ए-नाब माँगूँ
साक़ी की नज़र में क्या नहीं है

umr-e-daraaz maang ke laai thi chaar din
do aarzu mein kaT gae do intizaar mein
tere jalvon ne mujhe gher liyaa hai ai dost
ab to tanhaai ke lamhe bhi hasin lagte hain
hai husul-e-aarzu kaa raaz tark-e-aarzu
main ne duniyaa chhoD di to mil gai duniyaa mujhe
pareshaan hone vaalon ko sukun kuchh mil bhi jaataa hai
pareshaan karne vaalon ki pareshaani nahin jaati
miri khaamoshiyon par duniyaa mujh ko taan deti hai
ye kyaa jaane ki chup rah kar bhi ki jaati hain taqrirein
'simaab' dil havaadis-e-duniyaa se bujh gayaa
ab aarzu bhi tark-e-tamannaa se kam nahin
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi