Shayari
shaayad isi baais huiin patthar miri aankhein
jo kuchh ki mujhe dekhnaa thaa dekh liyaa hai
har dam tiri shabih thi aankhon ke saamne
tanhaa bhi ham nahin the tire saath bhi na the
ہر دم تری شبیہ تھی آنکھوں کے سامنے
تنہا بھی ہم نہیں تھے ترے ساتھ بھی نہ تھے
हर दम तिरी शबीह थी आँखों के सामने
तन्हा भी हम नहीं थे तिरे साथ भी न थे

shaayad isi baais huiin patthar miri aankhein
jo kuchh ki mujhe dekhnaa thaa dekh liyaa hai
zabaanein thak chukin patthar hue kaan
kahaani an-kahi thi an-kahi hai
ek se manzar dekh dekh kar aankhein dukhne lagti hain
is raste par peD bahut hain aur haraa koi bhi nahin
khule asraar us par jism ke aahista aahista
bahut din mein use baatein na karne kaa hunar aayaa
bharpur nahin hain kisi chehre ke khad-o-khaal
dekhaa nahin vo chaand jo puuraa nazar aae
ab to insaan ki azmat bhi koi chiiz nahin
log patthar ko khudaa maan liyaa karte the
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
laazim thaa ki dekho miraa rastaa koi din aur
tanhaa gae kyuun ab raho tanhaa koi din aur
saari duniyaa hamein pahchaanti hai
koi ham saa bhi na tanhaa hogaa
musaafir hi musaafir har taraf hain
magar har shakhs tanhaa jaa rahaa hai