Shayari
shaayad isi baais huiin patthar miri aankhein
jo kuchh ki mujhe dekhnaa thaa dekh liyaa hai
huzur-e-husn ye dil kaasa-e-gadaai hai
huun vo faqir jise bhiik bhi na de koi
حضور حسن یہ دل کاسۂ گدائی ہے
ہوں وہ فقیر جسے بھیک بھی نہ دے کوئی
हुज़ूर-ए-हुस्न ये दिल कासा-ए-गदाई है
हूँ वो फ़क़ीर जिसे भीक भी न दे कोई

shaayad isi baais huiin patthar miri aankhein
jo kuchh ki mujhe dekhnaa thaa dekh liyaa hai
zabaanein thak chukin patthar hue kaan
kahaani an-kahi thi an-kahi hai
ek se manzar dekh dekh kar aankhein dukhne lagti hain
is raste par peD bahut hain aur haraa koi bhi nahin
khule asraar us par jism ke aahista aahista
bahut din mein use baatein na karne kaa hunar aayaa
bharpur nahin hain kisi chehre ke khad-o-khaal
dekhaa nahin vo chaand jo puuraa nazar aae
ab to insaan ki azmat bhi koi chiiz nahin
log patthar ko khudaa maan liyaa karte the
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
chhoD aayaa putliyaan subh-e-banaaras jhiil par
dil hamesha ke liye shaam-e-avadh mein rakh diyaa
hamaari saada-dili ham ne de diyaa khanjar
unhon ne zikr kiyaa thaa ki aazmaanaa hai
qafas se aashiyaan tabdil karnaa baat hi kyaa thi
hamein dekho ki ham ne bijliyon se aashiyaan badlaa
nahin hai dil kaa sukun qismat-e-tamannaa mein
tumhein bhi dil ki tamannaa banaa ke dekh liyaa