Shayari
gayaa shaitaan maaraa ek sajde ke na karne mein
agar laakhon baras sajde mein sar maaraa to kyaa maaraa
hai ain-e-vasl mein bhi miri chashm su-e-dar
lapkaa jo paD gayaa hai mujhe intizaar kaa
ہے عین وصل میں بھی مری چشم سوئے در
لپکا جو پڑ گیا ہے مجھے انتظار کا
है ऐन-ए-वस्ल में भी मिरी चश्म सू-ए-दर
लपका जो पड़ गया है मुझे इंतिज़ार का

gayaa shaitaan maaraa ek sajde ke na karne mein
agar laakhon baras sajde mein sar maaraa to kyaa maaraa
moazzin marhabaa bar-vaqt bolaa
tiri aavaaz makke aur madine
tum bhuul kar bhi yaad nahin karte ho kabhi
ham to tumhaari yaad mein sab kuchh bhulaa chuke
ab to ghabraa ke ye kahte hain ki mar jaaeinge
mar ke bhi chain na paayaa to kidhar jaaeinge
maraz-e-ishq jise ho use kyaa yaad rahe
na davaa yaad rahe aur na duaa yaad rahe
zaahid sharaab piine se kaafir huaa main kyuun
kyaa DeDh chullu paani mein imaan bah gayaa
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
hargiz kiyaa na baad-e-khizaan kaa bhi intizaar
vo taaza gul thaa main ki khilaa aur jhaD gayaa
gar dekhiye to aaina-e-qad-numaa ki shakl
surat main ban rahaa huun tamaam intizaar ki
niind aa chali hai anjum-e-shaam-e-abad ko bhi
aankh ahl-e-intizaar ki ab tak lagi nahin
ham ne aksar tumhaari raahon mein
ruk kar apnaa hi intizaar kiyaa