Shayari
'zauq' jo madrase ke bigDe hue hain mullaa
un ko mai-khaane mein le aao sanvar jaaeinge
uThte uThte main ne is hasrat se dekhaa hai unhein
apni bazm-e-naaz se mujh ko uThaa kar ro diye
اٹھتے اٹھتے میں نے اس حسرت سے دیکھا ہے انہیں
اپنی بزم ناز سے مجھ کو اٹھا کر رو دیئے
उठते उठते मैं ने इस हसरत से देखा है उन्हें
अपनी बज़्म-ए-नाज़ से मुझ को उठा कर रो दिए

'zauq' jo madrase ke bigDe hue hain mullaa
un ko mai-khaane mein le aao sanvar jaaeinge
ek aansu ne Duboyaa mujh ko un ki bazm mein
buund bhar paani se saari aabru paani hui
maalum jo hotaa hamein anjaam-e-mohabbat
lete na kabhi bhuul ke ham naam-e-mohabaat
behtar to hai yahi ki na duniyaa se dil lage
par kyaa karein jo kaam na be-dil-lagi chale
naaz hai gul ko nazaakat pe chaman mein ai 'zauq'
us ne dekhe hi nahin naaz-o-nazaakat vaale
in dinon garche dakan mein hai baDi qadr-e-sukhan
kaun jaae 'zauq' par dilli ki galiyaan chhoD kar
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
takmil-e-aarzu se bhi hotaa hai gham kabhi
aisi duaa na maang jise bad-duaa kahein
khud apni lauh-e-tamannaa pe khil ke dekhungaa
kisi ke jabr ne likkhaa thaa raaegaan mujh ko
bajti hui khuun ki ravaani
khvaahish ki giraft mein badan hai
teri jaanib aa rahaa huun ruuh ki taskin ko main
hasratein dil ki main duniyaa mein nikaal aayaa bahut