Shayari
meraa azm itnaa buland hai ki paraae sholon kaa Dar nahin
mujhe khauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jalaa na de
jaane vaale se mulaaqaat na hone paai
dil ki dil mein hi rahi baat na hone paai
جانے والے سے ملاقات نہ ہونے پائی
دل کی دل میں ہی رہی بات نہ ہونے پائی
जाने वाले से मुलाक़ात न होने पाई
दिल की दिल में ही रही बात न होने पाई

meraa azm itnaa buland hai ki paraae sholon kaa Dar nahin
mujhe khauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jalaa na de
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
kaafi hai mire dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap kaa paighaam to aayaa
kal raat zindagi se mulaaqaat ho gai
lab thartharaa rahe the magar baat ho gai
lamhe udaas udaas fazaaein ghuTi ghuTi
duniyaa agar yahi hai to duniyaa se bach ke chal
shaguftagi-e-dil-e-kaarvaan ko kyaa samjhe
vo ik nigaah jo uljhi hui bahaar mein hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
kahte hain aise vaqt mein vaajib hai jhuuT bhi
tu jhuuT koi bol ki dil phir se ji uThe
ab to vahaan hain jis kaa bayaan bhi hai laa-vajud
sadmon pe haae haae kare ab vo dil kahaan
dil mein rah rah ke shor uThtaa hai
koi rahtaa hai is makaan mein kyaa
rahne de taklif-e-tavajjoh dil ko hai aaraam bahut
hijr mein teri yaad bahut hai gham mein teraa naam bahut