Shayari
siyaah aankhon ki rangat ki ik jhalak ke liye
tiri talaash mein surma-farosh rahte hain
balliyon kudtaa uchhaltaa dil
aap ki ik nahin pe baiTh gayaa
بلیوں کودتا اچھلتا دل
آپ کی اک نہیں پہ بیٹھ گیا
बल्लियों कूदता उछलता दिल
आप की इक नहीं पे बैठ गया

siyaah aankhon ki rangat ki ik jhalak ke liye
tiri talaash mein surma-farosh rahte hain
shukr kiije ki maut hai varna
zindagi se hamein bachaataa kaun
hamaare ghar mein ye tahzib ab bhi zinda hai
buzurg bolein to bachche khamosh rahte hain
ho bhaTakne kaa jise shauq mire saath chale
jo ho manzil kaa talabgaar palaT jaae abhi
ham se mil kar dekhiye achchhaa lagegaa aap ko
aadmiyyat ke abhi tak an-chhue pahlu hain ham
tum se Takraae to huaa maa'lum
haadse khushnumaa bhi hote hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ashk Dhalte nahin dekhe jaate
dil pighalte nahin dekhe jaate
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa
ik nazar ne kiyaa hai kaam tamaam
aarzu bhi to thi yahi dil ki
puchh kar kaun dil dukhaataa hai
haadse kab bataa ke hote hain