Shayari
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
raat bhar buniyaad ghar ki siskiyaan leti rahi
koi to royaa hai is divaar se lag kar bahut
رات بھر بنیاد گھر کی سسکیاں لیتی رہی
کوئی تو رویا ہے اس دیوار سے لگ کر بہت
रात भर बुनियाद घर की सिसकियाँ लेती रही
कोई तो रोया है इस दीवार से लग कर बहुत
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
aao puraani yaad ke shoalon mein taap lein
kitne hain haath sard mulaaqaat ki tarah
tumhaare bin nahin lete kabhi karvaT akele ham
tumhaari yaad bhi karvaT hamaare saath leti hai
ijz ke saath chale aae hain ham 'yazdaani'
koi aur un ko manaa lene kaa Dhab yaad nahin
kabhi bolnaa vo khafaa khafaa kabhi baiThnaa vo judaa judaa
vo zamaana naaz o niyaaz kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
aah ye mahki hui shaamein ye logon ke hujum
dil ko kuchh biiti hui tanhaaiyaan yaad aa gaiin