Shayari
baDe hi ghusse mein ye kah ke us ne vasl kiyaa
mujhe to tum se koi baat hi nahin karni
phir chaae mein biscuit ki tarah bhuki si ye shaam
khaa jaaegi suraj ko samundar mein Dubaa kar
پھر چائے میں بسکٹ کی طرح بھوکی سی یہ شام
کھا جائے گی سورج کو سمندر میں ڈبا کر
फिर चाय में बिस्कुट की तरह भूकी सी ये शाम
खा जाएगी सूरज को समुंदर में डुबा कर

baDe hi ghusse mein ye kah ke us ne vasl kiyaa
mujhe to tum se koi baat hi nahin karni
ye zindagi jo pukaare to shak saa hotaa hai
kahin abhi to mujhe khud-kushi nahin karni
saaraa ghussa ab bas is kaam aataa hai
ham is se cigarette sulgaayaa karte hain
kab tak chunari par hi zulm hon rangon ke
rangreza teri bhi qabaa par barse rang
aur kam yaad aaogi agle baras tum
ab ke kam yaad aai ho pichhle baras se
agar dobaara bani ye duniyaa
to pahle teri gali banegi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
vaqt hai ab namaaz-e-maghrib kaa
chaand rukh lab shafaq hai gesu shaam