Shayari
baat ab tashvish ki koi nahin aisi 'fahim'
duur tak miltaa nahin insaan baaqi khair hai
S
Syed Fahimuddinkaar mere yaar ki thi aur phir chori ki thi
ho gayaa hai chuuk mein chaalaan baaqi khair hai
کار میرے یار کی تھی اور پھر چوری کی تھی
ہو گیا ہے چوک میں چالان باقی خیر ہے
कार मेरे यार की थी और फिर चोरी की थी
हो गया है चूक में चालान बाक़ी ख़ैर है
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
itnaa batlaa mujhe harjaai huun main yaar ki tu
main har ik shakhs se rakhtaa huun sarokaar ki tu
jis ghaDi ghurte ho ghussa se
nikle paDtaa hai pyaar aankhon mein
idhar aa ham dikhaate hain ghazal kaa aaina tujh ko
ye kis ne kah diyaa gesu tire barham nahin pyaare
dushmanon se pashemaan honaa paDaa hai
doston kaa khulus aazmaane ke baad
baagh-e-jahaan ke gul hain yaa khaar hain to ham hain
gar yaar hain to ham hain aghyaar hain to ham hain