Shayari
bahut ghurur thaa biphre hue samundar ko
magar jo dekhaa mire aansuon se kam-tar thaa
nigaah o dil mein vahi karbalaa kaa manzar thaa
main tishna-lab thi mire saamne samundar thaa
نگاہ و دل میں وہی کربلا کا منظر تھا
میں تشنہ لب تھی مرے سامنے سمندر تھا
निगाह ओ दिल में वही कर्बला का मंज़र था
मैं तिश्ना-लब थी मिरे सामने समुंदर था

bahut ghurur thaa biphre hue samundar ko
magar jo dekhaa mire aansuon se kam-tar thaa
khvaab aur nindon kaa khatm ho gayaa rishta
muddaton se aankhon mein rat-jagon kaa mausam hai
mehr-o-vafaa khulus-e-tamannaa milan ki aas
kuchh kam nahin ki ham ne ye moti bachaa liye
khiDkiyaan khol luun har shaam yunhi sochon ki
phir usi raah se yaadon ko guzartaa dekhun
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
husain aaj bhi qaaem hai apni surat par
yazid chehre badaltaa hai har zamaane mein
kise kahein ki rifaaqat kaa daagh hai dil par
bichhaDne vaalaa to khul kar kabhi milaa hi na thaa
miri zabaan ke mausam badalte rahte hain
main aadmi huun miraa e'tibaar mat karnaa
badal gayaa hai zamaana badal gai duniyaa
na ab vo main huun miri jaan na ab vo tu tu hai