Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
bahaar aai divaane ki khabar lo
agar zanjir karnaa hai to kar lo
بہار آئی دوانے کی خبر لو
اگر زنجیر کرنا ہے تو کر لو
बहार आई दिवाने की ख़बर लो
अगर ज़ंजीर करना है तो कर लो

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kuchh karo fikr mujh divaane ki
dhuum hai phir bahaar aane ki
kisi gul ko jo apnaa turra-e-dastaar samjhe ham
to barson Tokraa sar par uThaayaa sargiraani kaa
gulshan-parast huun mujhe gul hi nahin aziiz
kaanTon se bhi nibaah kiye jaa rahaa huun main