Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
ham ne ba-sad khulus pukaaraa hai aap ko
ab dekhnaa hai kitni kashish hai khulus mein
ہم نے بصد خلوص پکارا ہے آپ کو
اب دیکھنا ہے کتنی کشش ہے خلوص میں
हम ने ब-सद ख़ुलूस पुकारा है आप को
अब देखना है कितनी कशिश है ख़ुलूस में

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu DhunDtaa hai teraa daaman
musaafir apni manzil jaantaa hai
na aayaa gham bhi mohabbat mein saazgaar mujhe
vo khud taDap gae dekhaa jo be-qaraar mujhe
rahe hain chaand-raaton mein bhi tanhaa
hamein khuddaariyaan mahngi paDi hain