Shayari
idhar se taqaazaa udhar se taghaaful
ajab khinchaa-taani mein paighaam-bar hai
jaani kyaa aaj meri barsi hai
yaani kyaa aaj mar gayaa thaa main

idhar se taqaazaa udhar se taghaaful
ajab khinchaa-taani mein paighaam-bar hai
ehsaas baDhaa detaa hai har dard ki shiddat
mahsus karoge to kasak aur baDhegi
siine mein aabaad hamesha rahti hai
pahli mohabbat yaad hamesha rahti hai
jab tak bikaa na thaa to koi puchhtaa na thaa
tu ne kharid kar mujhe anmol kar diyaa
guzar to jaaegi tere baghair bhi lekin
bahut udaas bahut be-qaraar guzregi
gumaan kis par karein suufi idhar hai us taraf vaaiz
khudaa rakkhe mohalle mein sabhi allaah vaale hain
ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa
yuun to qadam qadam pe hai divaar saamne
koi na ho to khud se ulajh jaanaa chaahiye
band kar ke miri aankhein vo sharaarat se hanse
bujhe jaane kaa main har roz tamaashaa dekhun
angDaai par angDaai leti hai raat judaai ki
tum kyaa samjho tum kyaa jaano baat miri tanhaai ki
hindostaan mein dhuum hai kis ki zabaan ki
vo kaun hai 'riyaaz' ko jo jaantaa nahin
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe