Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
miraa haath dekh barahmana miraa yaar mujh ko milegaa kab
tire munh se nikle khudaa kare is saal mein isi maah mein
مرا ہاتھ دیکھ برہمنا مرا یار مجھ کو ملے گا کب
ترے منہ سے نکلے خدا کرے اس سال میں اسی ماہ میں
मिरा हाथ देख बरहमना मिरा यार मुझ को मिलेगा कब
तिरे मुँह से निकले ख़ुदा करे इस साल में इसी माह में

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaaro duaa karo ye koi haadsa na ho
pahle yuun intizaar mein lazzat kabhi na thi
bharose par kisi leader ke rahnaa ik himaaqat hai
ye sukhe peD hain yaaro kabhi saaya nahin karte
ik jang thi vo garmi-e-guftaar nahin thi
donon ki anaa miTne ko tayyaar nahin thi
ai kuza-gar de shakl mujhe ik charaagh ki
jis se kisi dayaar ko raushan main kar sakun
siyaah shab mein charaaghon se dosti karnaa
hamein pasand nahin ghar mein dushmani karnaa