Shayari
utro khud apni zaat ki gahraai mein 'khalish'
ubhre jo apne-aap ko paane ki aarzu
ik jang thi vo garmi-e-guftaar nahin thi
donon ki anaa miTne ko tayyaar nahin thi
اک جنگ تھی وہ گرمئ گفتار نہیں تھی
دونوں کی انا مٹنے کو تیار نہیں تھی
इक जंग थी वो गर्मी-ए-गुफ़्तार नहीं थी
दोनों की अना मिटने को तय्यार नहीं थी

utro khud apni zaat ki gahraai mein 'khalish'
ubhre jo apne-aap ko paane ki aarzu
jazb kar ke rakh lenaa dastakein hatheli mein
jab se main safar mein huun ham-safar hain darvaaze
guzarte vaqt ke aasaar kaun chhoD gayaa
zamaane Tal gae lekin aTal rahe hain sutun
bikharte khvaabon se taabir ke dhundlakon tak
muhaajrat ne kachoke bahut lagaae hain
jis tanaazur mein bhi dekho khush-jamaalon ko 'khalish'
zaaviya bigDaa nazar kaa saare bigDe zaaviye
zakhmon ko phuul kar de tanhaaiyon ko marham
sau qurbaton pe bhaari hijrat kaa ek mausam
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
hazaar baar havaaon se dushmani hogi
bas ek baar charaaghon se dosti ke liye
shahr talab kare agar tum se ilaaj-e-tiragi
saahab-e-ikhtiyaar ho aag lagaa diyaa karo
main shar ki sharaarat se to hoshyaar huun lekin
allaah bachaae to bachun khair ke shar se