Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
rahegaa kyuun koi tarz-e-sitam baaqi zamaane mein
mazaa aataa hai is kaafir ko ulfat aazmaane mein
رہے گا کیوں کوئی طرز ستم باقی زمانے میں
مزا آتا ہے اس کافر کو الفت آزمانے میں
रहेगा क्यूँ कोई तर्ज़-ए-सितम बाक़ी ज़माने में
मज़ा आता है इस काफ़िर को उल्फ़त आज़माने में

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat, hijr, nafrat mil chuki hai
main taqriban mukammal ho chukaa huun
zarur us kaa koi pyaas se maraa hogaa
vo kitne pyaar se paani pilaa rahaa thaa hamein
in se ummid na rakh hain ye siyaasat vaale
ye kisi se bhi mohabbat nahin karne vaale
prem-nagar mein maangne vaale bhukon mar jaate hain
is basti mein khaa nahin saktaa koi chhin-jhapaT ke