Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
shikva-e-be-chaargi 'maikash' kisi se kyon karein
'ishq to mahrumi-e-dil ke sivaa kuchh bhi nahin
شکوۂ بے چارگی میکشؔ کسی سے کیوں کریں
عشق تو محرومیٔ دل کے سوا کچھ بھی نہیں
शिकवा-ए-बे-चारगी 'मैकश' किसी से क्यों करें
'इश्क़ तो महरूमी-ए-दिल के सिवा कुछ भी नहीं

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain
ishq marhun-e-hikaayaat-o-gumaan bhi hogaa
vaaqia hai to kisi taur bayaan bhi hogaa
jitni vo mire haal pe karte hain jafaaein
aataa hai mujhe un ki mohabbat kaa yaqin aur