Shayari
mauj-e-havaa aab-e-ravaan aur ye zamin o aasmaan
ik roz sab jaaeinge thak allaah bas baaqi havas
zamaana aur abhi Thokarein lagaae hamein
abhi kuchh aur sanvar jaanaa chaahte hain ham
زمانہ اور ابھی ٹھوکریں لگائے ہمیں
ابھی کچھ اور سنور جانا چاہتے ہیں ہم
ज़माना और अभी ठोकरें लगाए हमें
अभी कुछ और सँवर जाना चाहते हैं हम

mauj-e-havaa aab-e-ravaan aur ye zamin o aasmaan
ik roz sab jaaeinge thak allaah bas baaqi havas
gham ke rishton ko kabhi toD na denaa 'vaali'
gham khayaal-e-dil-e-naa-shaad bahut kartaa hai
hamein anjaam bhi maalum hai lekin na jaane kyuun
charaaghon ko havaaon se bachaanaa chaahte hain ham
ishq ki raah mein yuun had se guzar mat jaanaa
hon ghaDe kachche to dariyaa mein utar mat jaanaa
main jis kaa javaab na de paaun
aisaa bhi koi savaal karnaa
sab bichhDe saathi mil jaaein murjhaaein chehre khil jaaein
sab chaak dilon ke sil jaaein koi aisaa kaam karo 'vaali'
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
mujh ko paanaa hai to phir mujh mein utar kar dekho
yuun kinaare se samundar nahin dekhaa jaataa
ye maanaa vo shajar sukhaa bahut hai
magar us mein abhi saayaa bahut hai
karnaa hai aap ko jo nae raaston ki khoj
sab jis taraf na jaaein udhar jaanaa chaahiye