Shayari
tujh lab ki sifat laal-e-badakhshaan suun kahungaa
jaadu hain tire nain ghazaalaan suun kahungaa
ai nur-e-jaan-o-dida tire intizaar mein
muddat hui palak suun palak aashnaa naiin
اے نور جان و دیدہ ترے انتظار میں
مدت ہوئی پلک سوں پلک آشنا نئیں
ऐ नूर-ए-जान-ओ-दीदा तिरे इंतिज़ार में
मुद्दत हुई पलक सूँ पलक आश्ना नईं

tujh lab ki sifat laal-e-badakhshaan suun kahungaa
jaadu hain tire nain ghazaalaan suun kahungaa
raah-e-mazmun-e-taaza band nahin
taa qayaamat khulaa hai baab-e-sukhan
har zarra us ki chashm mein labrez-e-nur hai
dekhaa hai jis ne husn-e-tajalli bahaar kaa
chaahtaa hai is jahaan mein gar bahisht
jaa tamaashaa dekh us rukhsaar kaa
rashk suun tujh labaan ki surkhi par
jigar-e-laala daagh daagh huaa
jise ishq kaa tiir kaari lage
use zindagi kyuun na bhaari lage
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
muntazir us ke dilaa taa-ba-kujaa baiThnaa
shaam hui ab chalo subh phir aa baiThnaa
baagh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyaa thaa kyuun
kaar-e-jahaan daraaz hai ab miraa intizaar kar
baarhaa teraa intizaar kiyaa
apne khvaabon mein ik dulhan ki tarah