Shayari
yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
tiri yaad mein jalsa-e-taaziyat
tujhe bhuul jaane kaa aaghaaz thaa
تری یاد میں جلسہ تعزیت
تجھے بھول جانے کا آغاز تھا
tirī yaad meñ jalsa-e-ta.aziyat
tujhe bhuul jaane kā āġhāz thā

yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
yuun bhi hotaa hai ki yak dam koi achchhaa lag jaae
baat kuchh bhi na ho aur dil mein tamaashaa lag jaae
kyaa khabar jis kaa yahaan itnaa uDaate hain mazaaq
khud hamein bhi kabhi is rang mein Dhalnaa paD jaae
apni marzi se bhi ham ne kaam kar Daale hain kuchh
lafz ko laDvaa diyaa hai beshtar maani ke saath
haath pair aap hi main maar rahaa huun filhaal
Dubte ko abhi tinke kaa sahaaraa kam hai
raaste hain khule hue saare
phir bhi ye zindagi ruki hui hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
haan vo din yaad hain jab ham bhi kahaa karte the
ishq kyaa chiiz hai is ishq mein kyaa hotaa hai
hasin yaadon ke chaand ko alvidaaa kah kar
main apne ghar ke andhere kamron mein lauT aayaa
khair se dil ko tiri yaad se kuchh kaam to hai
vasl ki shab na sahi hijr kaa hangaam to hai
vo mire kaase mein yaadein chhoD kar yuun chal diyaa
jis tarah alfaaz jaate hon muaani chhoD kar