Shayari
buraa na maan 'ziyaa' us ki saaf-goi kaa
jo dard-mand bhi hai aur be-adab bhi nahin
itnaa sochaa tujhe ki duniyaa ko
ham ne teri nigaah se dekhaa
اتنا سوچا تجھے کہ دنیا کو
ہم نے تیری نگاہ سے دیکھا
इतना सोचा तुझे कि दुनिया को
हम ने तेरी निगाह से देखा

buraa na maan 'ziyaa' us ki saaf-goi kaa
jo dard-mand bhi hai aur be-adab bhi nahin
rang baatein karein aur baaton se khushbu aae
dard phulon ki tarah mahke agar tu aae
himmat hai to buland kar aavaaz kaa alam
chup baiThne se hal nahin hone kaa masala
ishq mein bhi koi anjaam huaa kartaa hai
ishq mein yaad hai aaghaaz hi aaghaaz mujhe
ye aansu ye pashemaani kaa izhaar
mujhe ik baar phir bahkaa gai ho
abr-e-aavaara se mujh ko hai vafaa ki ummid
barq-e-betaab se shikva hai ki paainda nahin
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
azaab-e-daanish-e-haazir se baa-khabar huun main
ki main is aag mein Daalaa gayaa huun misl-e-khalil
sunaa hai vo mire baare mein sochtaa hai bahut
khabar to hai hi magar mo'tabar zyaada nahin
maango samundaron se na saahil ki bhiik tum
haan fikr o fan ke vaaste gahraai maang lo
bagulaa jin ke sar par chatr-e-shaahi hai zamin masnad
vahi aqlim-e-gham mein aah ki naubat bajaate hain