Shayari
vo un kaa zamaana thaa jahaan aql baDi thi
ye meraa zamaana hai yahaan bhains baDi hai
M
Machis LakhnaviMachis Lakhnavi
Machis Lakhnavi
vo un kaa zamaana thaa jahaan aql baDi thi
ye meraa zamaana hai yahaan bhains baDi hai
vaaiz ko jo dekho to ghaTaa-Top andheraa
saaqi ko jo dekho to kiran phuuT rahi hai
taadaad mein hain aurtein mardon se zyaada
qavvaaliyaan maujud hain qavvaal nadaarat
jaise islaam mein hai rasm musalmaani ki
vaise hi ishq mein hai chaak-garebaani ki
jo bhi haaregaa vahi gaaliyaan degaa us ko
jis barahman ne kahaa hai ki ye saal achchhaa hai
is qadar sarf ilaahi mire khun-e-dil kaa
ab mohabbat kaa bajaT fail huaa jaataa hai
allaah-re roab-o-daab-e-junun bhaagtaa hai vo
jis ki taraf uThaa ke nazar dekhtaa huun main
saae ki tamannaa mein jahaan baiTh gayaa huun
chandiyaa pe vahin taak ke divaar giri hai
havaadis jab kisi ko taak kar chaanTaa lagaate hain
to hafton kyaa mahinon khopaDi sahlaai jaati hai
nazm-e-jahaan ko zer-o-zabar dekhtaa huun main
maada ke ikhtiyaar mein nar dekhtaa huun main
vaaiz ne mujh mein dekhi hai imaan ki kami
vaaiz mein sirf dum ki kasar dekhtaa huun main
DhunDiye khair se jaa kar koi moTi sasuraal
haath jo muft mein aae to vo maal achchhaa hai