Sher
chhupe to kaise chhupe chaman men mira tira rabt-e-valihana
kali kali husn ki kahani nazar nazar ishq ka fasana

Nisar Itavi
chhupe to kaise chhupe chaman men mira tira rabt-e-valihana
छुपे तो कैसे छुपे चमन में मिरा तिरा रब्त-ए-वालिहाना
nigahon se na-ashna chand jalve
निगाहों से ना-आश्ना चंद जल्वे
bahar ho ki mauj-e-mai ki tab.a ki ravaniyan
बहार हो कि मौज-ए-मय कि तब्अ की रवानियाँ
afsos kisi se miT na saki insan ke dil ki tishna-labi
अफ़सोस किसी से मिट न सकी इंसान के दिल की तिश्ना-लबी
dil men kya kya guman guzarte hain
दिल में क्या क्या गुमाँ गुज़रते हैं
ab bhi jo log sar-e-dar nazar aate hain
अब भी जो लोग सर-ए-दार नज़र आते हैं
chhupe to kaise chhupe chaman men mira tira rabt-e-valihana
kali kali husn ki kahani nazar nazar ishq ka fasana
nigahon se na-ashna chand jalve
pas-e-lala-o-yasman aur bhi hain
bahar ho ki mauj-e-mai ki tab.a ki ravaniyan
jidhar se vo guzar ga.e ubal paDin javaniyan
afsos kisi se miT na saki insan ke dil ki tishna-labi
shabnam hai ki roya karti hai badal hain ki barsa karte hain
dil men kya kya guman guzarte hain
muskurao na baat se pahle
ab bhi jo log sar-e-dar nazar aate hain
kuchh vahi mahram-e-asrar nazar aate hain
ye dil vaalon se puchho is ko dil vaale samajhte hain
bigaaD aai havaa zulfein kisi ki yaa sanvaar aai
kitne pur-haul andheron se guzar kar ai dost
ham tire husn ki rakhshanda sahar tak pahunche
yaqinan rahbar-e-manzil kahin par raastaa bhulaa
vagarna qaafile ke qaafile gum ho nahin sakte
aa dost saath aa dar-e-maazi se maang laaein
vo apni zindagi ki javaan bhi hasin bhi thi
dil mein kyaa kyaa gumaan guzarte hain
muskuraao na baat se pahle
subh bichhaD kar shaam kaa vaada shaam kaa honaa sahal nahin
un ki tamannaa phir kar lenaa subh ko pahle shaam karo