Shayari
yaqinan rahbar-e-manzil kahin par raastaa bhulaa
vagarna qaafile ke qaafile gum ho nahin sakte
aa dost saath aa dar-e-maazi se maang laaein
vo apni zindagi ki javaan bhi hasin bhi thi
آ دوست ساتھ آ در ماضی سے مانگ لائیں
وہ اپنی زندگی کہ جواں بھی حسیں بھی تھی
आ दोस्त साथ आ दर-ए-माज़ी से माँग लाएँ
वो अपनी ज़िंदगी कि जवाँ भी हसीं भी थी

yaqinan rahbar-e-manzil kahin par raastaa bhulaa
vagarna qaafile ke qaafile gum ho nahin sakte
dil mein kyaa kyaa gumaan guzarte hain
muskuraao na baat se pahle
afsos kisi se miT na saki insaan ke dil ki tishna-labi
shabnam hai ki royaa karti hai baadal hain ki barsaa karte hain
mausam-e-gul hai baadal chhaae khanak rahe hain paimaane
kaisi tauba, tauba tauba, tauba nazr-e-jaam karo
shauq kitne fareb detaa hai
muskuraa kar hamaaraa naam na le
kitne pur-haul andheron se guzar kar ai dost
ham tire husn ki rakhshanda sahar tak pahunche
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
adaa huaa na qarz aur vajud khatm ho gayaa
main zindagi kaa dete dete suud khatm ho gayaa
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
umr bhar tujh ko dekhne par bhi
zauq-e-nazzaara kam nahin hotaa