Shayari
ashk-e-gham le ke aakhir kidhar jaaein ham aansuon ki yahaan koi qimat nahin
aap hi apnaa daaman baDhaa dijiye varna moti zamin par bikhar jaaeinge

Raaz Allahabadi
Raaz Allahabadi
ashk-e-gham le ke aakhir kidhar jaaein ham aansuon ki yahaan koi qimat nahin
aap hi apnaa daaman baDhaa dijiye varna moti zamin par bikhar jaaeinge
ye meri tamannaa hai pyaason ke main kaam aauun
yaarab miri miTTi ko paimaana banaa denaa
aashiyaan jal gayaa gulsitaan luT gayaa ham qafas se nikal kar kidhar jaaeinge
itne maanus sayyaad se ho gae ab rihaai milegi to mar jaaeinge
umr juun juun baDhti hai dil javaan hotaa hai
'raaz' ye hasin ghazlein in safed baalon mein