Shayari
yuun hi aankhon mein aa gae aansu
jaaiye aap koi baat nahin

Salam Machhli shahri
Salam Machhli shahri
yuun hi aankhon mein aa gae aansu
jaaiye aap koi baat nahin
ai mire ghar ki fazaaon se gurezaan mahtaab
apne ghar ke dar-o-divaar ko kaise chhoDun
ab maa-hasal hayaat kaa bas ye hai ai 'salaam'
cigarette jalaai sher kahe shaadmaan hue
gham musalsal ho to ahbaab bichhaD jaate hain
ab na koi dil-e-tanhaa ke qarin aaegaa
kabhi kabhi arz-e-gham ki khaatir ham ik bahaanaa bhi chaahte hain
jab aansuon se bhari hon aankhein to muskuraanaa bhi chaahte hain
raat dil ko thaa sahar kaa intizaar
ab ye gham hai kyuun saveraa ho gayaa
tum sharaab pi kar bhi hosh-mand rahte ho
jaane kyuun mujhe aisi mai-kashi nahin aai
kaash tum samajh saktin zindagi mein shaaer ki aise din bhi aate hain
jab usi ke parvarda chaand us pe hanste hain phuul muskuraate hain
shukriya ai gardish-e-jaam-e-sharaab
main bhari mahfil mein tanhaa ho gayaa
vo dil se tang aa ke aaj mahfil mein husn ki tamkanat ki khaatir
nazar bachaanaa bhi chaahte hain nazar milaanaa bhi chaahte hain
meri fikr ki khushbu qaid ho nahin sakti
yuun to mere honTon par maslahat kaa taalaa hai
vo sirf main huun jo sau jannatein sajaa kar bhi
udaas udaas saa tanhaa dikhaai dene lage