Shayari
dukh jhelo to ji kaDaa hi rakhnaa
dil hai to hisaab-e-dostaan hai

Tauseef Tabassum
Tauseef Tabassum
dukh jhelo to ji kaDaa hi rakhnaa
dil hai to hisaab-e-dostaan hai
kyaa ye sach hai ki khizaan mein bhi chaman khilte hain
mere daaman mein lahu hai to mahaktaa kyaa hai
dil bayaaz-e-umr ki auraaq-gardaani mein hai
kyaa khabar hai kaun saa safha khulaa rah jaaegaa
kaun se dukh ko palle baandhein kis gham ko tahrir karein
yaan to dard sivaa hotaa hai aur bhi arz-e-haal ke baad
jo bhi narmi hai khayaalon mein na hone se hai
khvaab aankhon se nikal jaaein to patthar ho jaaein
paanv mein lipTi hui hai sab ke zanjir-e-anaa
sab musaafir hain yahaan lekin safar mein kaun hai
achchhaa hai ki sirf ishq kiije
ye umr to yuun bhi raaegaan hai
shauq kahtaa hai ki har jism ko sajda kiije
aankh kahti hai ki tu ne abhi dekhaa kyaa hai
dil ki baazi haar ke roe ho to ye bhi sun rakkho
aur abhi tum pyaar karoge aur abhi pachhtaaoge
dekhne vaali agar aankh ko pahchaan sakein
rang khud parda-e-tasvir se baahar ho jaaein