"masti-e-baada-e-gulfaam se vaabasta rahi zindagi raqs-e-mai-o-jaam se vaabasta rahi log kahte hain ki kuchh us mein miraa zikr bhi thaa vo hikaayat jo tire naam se vaabasta rahi dil jo ghabraayaa to mai-khaane mein ham jaa baiThe har khalish baada-e-gulfaam se vaabasta rahi us ki majburi-e-paiham pe zaraa ghaur karein jo tamannaa dil-e-naakaam se vaabasta rahi 'arsh' muddat hui go tark-e-mai-o-jaam kiye phir bhi tohmat ye mire naam se vaabasta rahi"
kashti-e-dil nazr-e-tufaan ho gai — Arsh Sahbai
"kashti-e-dil nazr-e-tufaan ho gai ek mushkil aur aasaan ho gai subh-dam shabnam ko jaane kyaa huaa sohbat-e-gul se gurezaan ho gai us nazar ki saadgi to dekhiye jo tire jalvon pe qurbaan ho gai phuul ko hairat-zada saa dekh kar har kali gulshan mein hairaan ho gai mere pahlu se vo uTh kar kyaa gae dil ki duniyaa sakht viraan ho gai dil ki paiham be-qaraari ke nisaar baDhte baDhte aafat-e-jaan ho gai dekh kar meri pareshaani ko 'arsh' zindagi khud bhi pareshaan ho gai"
کشتئ دل نذر طوفاں ہو گئی ایک مشکل اور آساں ہو گئی صبح دم شبنم کو جانے کیا ہوا صحبت گل سے گریزاں ہو گئی اس نظر کی سادگی تو دیکھیے جو ترے جلووں پہ قرباں ہو گئی پھول کو حیرت زدہ سا دیکھ کر ہر کلی گلشن میں حیراں ہو گئی میرے پہلو سے وہ اٹھ کر کیا گئے دل کی دنیا سخت ویراں ہو گئی دل کی پیہم بے قراری کے نثار بڑھتے بڑھتے آفت جاں ہو گئی دیکھ کر میری پریشانی کو عرشؔ زندگی خود بھی پریشاں ہو گئی
कश्ती-ए-दिल नज़्र-ए-तूफ़ाँ हो गई एक मुश्किल और आसाँ हो गई सुब्ह-दम शबनम को जाने क्या हुआ सोहबत-ए-गुल से गुरेज़ाँ हो गई उस नज़र की सादगी तो देखिए जो तिरे जल्वों पे क़ुर्बां हो गई फूल को हैरत-ज़दा सा देख कर हर कली गुलशन में हैराँ हो गई मेरे पहलू से वो उठ कर क्या गए दिल की दुनिया सख़्त वीराँ हो गई दिल की पैहम बे-क़रारी के निसार बढ़ते बढ़ते आफ़त-ए-जाँ हो गई देख कर मेरी परेशानी को 'अर्श' ज़िंदगी ख़ुद भी परेशाँ हो गई

More by Arsh Sahbai
View all →"aarzu raqs mein hai vaqt ki aavaaz ke saath zindagi naghma-saraa hai nae andaaz ke saath zindagi dekh na yuun ajnabi andaaz ke saath ham ko nisbat hai tiri chashm-e-fusun-saaz ke saath us ke mazkur se labrez hain naghme us ke us ne marghub kyaa dil ko kis e'jaaz ke saath ye haqiqat mein zamaane ki khabar rakhte hain sahme sahme se hain jo hasrat-e-parvaaz ke saath dil hai sar-chashma-e-naghmaat agar TuuT gayaa kitne naghmaat bikhar jaaeinge us saaz ke saath vaqt ki baat hai ab koi nahin un kaa vaqaar jo kabhi baat bhi karte the baDe naaz ke saath kyaa kahein ban gae ham sab ki nazar kaa markaz us ne kyaa dekh liyaa ajnabi andaaz ke saath 'arsh' jo dard mein Duube hue dil se nikle chand sho'le bhi lapakte hain is aavaaz ke saath"
"hangaama-haa-e-baada-o-paimaana dekh kar ham ruk gae hain raah mein mai-khaana dekh kar baa-ehtiraam saaghar-o-minaa baDhaa diye saaqi ne meri jurat-e-rindaana dekh kar phir yaad aa gai hai tiri chashm-e-mai-farosh mahfil mein raqs-e-baada-o-paimaana dekh kar hairaan huun un ke dida-e-hairaan ko kyaa kahun divaane ho gae mujhe divaana dekh kar tauba kaa ehtiraam bhi laazim rahaa magar niyyat badal gai miri paimaana dekh kar har aastaan se garche rahe be-niyaaz ham sajde mein gir gae dar-e-mai-khaana dekh kar"
"hazaar haadsaat-e-gham ravaan-davaan liye hue kahaan chali hai zindagi kashaan kashaan liye hue mire nasib ki ye zulmatein na miT sakin kabhi koi guzar gayaa hazaar kahkashaan liye hue ye zindagi badalte mausamon kaa rang-rup hai kabhi bahaar kaa samaan kabhi khizaan liye hue miraa ye karb hai ki meraa kaarvaan guzar gayaa simaT ke rah gayaa huun gard-e-kaarvaan liye hue agar vo jaan-e-aarzu mile to us ki nazr ho khaDaa huun kab se muntazir main naqd-e-jaan liye hue mire vaqaar kaa savaal thaa main kuchh na kah sakaa guzar gae vo raahaton kaa ik jahaan liye hue kisi bhi zaaviye se 'arsh' is ko dekhiye magar qadam qadam pe zindagi hai imtihaan liye hue"
"dil-e-muztar se naalaan hain udhar vo bhi idhar ham bhi mohabbat mein pareshaan hain udhar vo bhi idhar ham bhi kise fursat hai maazi ki puraani daastaan chheDe gham-e-haazir mein ghaltaan hain udhar vo bhi idhar ham bhi ba-zaahir koi hairaani nahin tark-e-mohabbat par magar dil mein pashemaan hain udhar vo bhi idhar ham bhi khizaan ke jaur-e-paiham ki shikaayat hai to donon ko talabgaar-e-bahaaraan hain udhar vo bhi idhar ham bhi unhein jaane ki jaldi hai hamein zid hai ki ruk jaaein gharaz donon pareshaan hain udhar vo bhi idhar ham bhi"
"main huun aise bikhraa saa jaise khvaab adhuraa saa duur duur tak phailaa hai yaadon kaa ik sahraa saa be-shak aap nahin aate kar dete koi vaada saa gham se aankhein bojhal hain dil bhi hai kuchh bikhraa saa main us ki nazron mein huun kaaghaz kaa ik TukDaa saa aql-o-junun mein rahtaa hai koi na koi jhagDaa saa un se dil ki baat kahi bojh huaa kuchh halkaa saa uDi uDi si rangat hai har koi hai sahmaa saa us ko haq hai jo bhi kare vo hai meraa apnaa saa meraa yahi asaasa hai ik dil vo bhi TuuTaa saa aap to chup se rahte hain main hotaa huun rusvaa saa 'arsh' nigaahon mein aksar lahraae ik saayaa saa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"