Quote
"ham hain insaan is liye laazim hai ki musalsal kaam karein koi khudaa to nahin hain ham jo saatvein din aaraam karein ham to hain bande jaan-o-badan se aap ke husn ke taabe'daar aap hain aaqaa ham jaise chaahe jitnon ko ghulaam karein ham ko to 'aadat hai raaton mein jaagne rone gaane ki ham ko hamaare haal pe chhoDein niind na apni haraam karein aap ki aankhon se lafzon kaa rizq utartaa hai ham par aap jo chaahein sukhaa rakkhein yaa baarish ilhaam karein"
