"zer-e-paa jaada-e-gumaan rakkhaa meri manzil ko be-nishaan rakkhaa us ne qurbat ki intihaa mein bhi ek parda saa darmiyaan rakkhaa chaahiye thaa qadam kahaan rakhnaa aur ham ne qadam kahaan rakkhaa khud rukaa huun jagah jagah lekin zindagi ko ravaan-davaan rakkhaa us ne kyaa kaarobaar-e-'ishq kiyaa jis ne madd-e-nazar ziyaan rakkhaa gul khile hain vahaan vahaan 'aasim' paanv us ne jahaan-jahaan rakkhaa"
aadmi baa-vafaa banaate hue — Asim Wasti
"aadmi baa-vafaa banaate hue kyaa banaayaa hai kyaa banaate hue us ne aaghaaz kyaa kiyaa hogaa vaqt ki ibtidaa banaate hue kis tarah darmiyaan banaa hogaa ibtidaa intihaa banaate hue guunj paidaa bahut hui hogi khaamushi mein sadaa banaate hue the kahaan aasmaan aur zamin darmiyaani khalaa banaate hue kyaa kiyaa hogaa itni miTTi kaa us ne aab-o-havaa banaate hue kis tarah kaa tiraa takhayyul thaa mujh ko mere binaa banaate hue kyaa savaab-o-gunah the pesh-e-nazar mujh ko achchhaa buraa banaate hue der us ko zaraa nahin lagti koi shai der-paa banaate hue main banaane lagaa tiri tasvir daf'atan ruk gayaa banaate hue khud-ba-khud 'ishq ho gayaa takhliq dil banaa dil-rubaa banaate hue rang kyon zard kar liyaa shaamil ek pattaa haraa banaate hue diqqatein to uThaani paDti hain ek rasta nayaa banaate hue kitne saanpon ki parvarish ki hai ham ne 'aasim' 'asaa banaate hue"
آدمی باوفا بناتے ہوئے کیا بنایا ہے کیا بناتے ہوئے اس نے آغاز کیا کیا ہوگا وقت کی ابتدا بناتے ہوئے کس طرح درمیاں بنا ہوگا ابتدا انتہا بناتے ہوئے گونج پیدا بہت ہوئی ہوگی خامشی میں صدا بناتے ہوئے تھے کہاں آسمان اور زمین درمیانی خلا بناتے ہوئے کیا کیا ہوگا اتنی مٹی کا اس نے آب و ہوا بناتے ہوئے کس طرح کا ترا تخیل تھا مجھ کو میرے بنا بناتے ہوئے کیا ثواب و گنہ تھے پیش نظر مجھ کو اچھا برا بناتے ہوئے دیر اس کو ذرا نہیں لگتی کوئی شے دیر پا بناتے ہوئے میں بنانے لگا تری تصویر دفعتاً رک گیا بناتے ہوئے خودبخود عشق ہو گیا تخلیق دل بنا دل ربا بناتے ہوئے رنگ کیوں زرد کر لیا شامل ایک پتا ہرا بناتے ہوئے دقتیں تو اٹھانی پڑتی ہیں ایک رستہ نیا بناتے ہوئے کتنے سانپوں کی پرورش کی ہے ہم نے عاصمؔ عصا بناتے ہوئے
आदमी बा-वफ़ा बनाते हुए क्या बनाया है क्या बनाते हुए उस ने आग़ाज़ क्या किया होगा वक़्त की इब्तिदा बनाते हुए किस तरह दरमियाँ बना होगा इब्तिदा इंतिहा बनाते हुए गूँज पैदा बहुत हुई होगी ख़ामुशी में सदा बनाते हुए थे कहाँ आसमान और ज़मीन दरमियानी ख़ला बनाते हुए क्या किया होगा इतनी मिट्टी का उस ने आब-ओ-हवा बनाते हुए किस तरह का तिरा तख़य्युल था मुझ को मेरे बिना बनाते हुए क्या सवाब-ओ-गुनह थे पेश-ए-नज़र मुझ को अच्छा बुरा बनाते हुए देर उस को ज़रा नहीं लगती कोई शय देर-पा बनाते हुए मैं बनाने लगा तिरी तस्वीर दफ़'अतन रुक गया बनाते हुए ख़ुद-ब-ख़ुद 'इश्क़ हो गया तख़्लीक़ दिल बना दिल-रुबा बनाते हुए रंग क्यों ज़र्द कर लिया शामिल एक पत्ता हरा बनाते हुए दिक्कतें तो उठानी पड़ती हैं एक रस्ता नया बनाते हुए कितने साँपों की परवरिश की है हम ने 'आसिम' 'असा बनाते हुए

More by Asim Wasti
View all →"apni tanhaai ke hisaar mein huun ik ghazal-khez husn-zaar mein huun tu ikaai mein ek vaahid hai main akelaa yahaan hazaar mein huun ye jo main dekhtaa huun muD muD kar apne maazi ke intizaar mein huun apni manzil na tu banaa mujh ko dost main khud bhi rah-guzaar mein huun mukhtasar hai tavil-tar muddat main tavaalat ke ikhtisaar mein huun pahli manzil yaqin ki shak hai be-yaqini ke e'tibaar mein huun kyaa miraa ikhtiyaar hai 'aasim' ye ki main apne ikhtiyaar mein huun"
"dil aur mire khuun kaa dauraan ghazal hai har saans tavaazun hai ki mizaan ghazal hai mujh pe hain kai aur 'inaayaat bhi lekin ilhaam ke maalik tiraa ehsaan ghazal hai is vaqt mujhe raqs ki targhib mili hai is vaqt mire vajd kaa imkaan ghazal hai Tapkegaa lahu lafz koi chiir ke dekho tum log samajhte ho ki be-jaan ghazal hai hai josh magar dil mein talaatum hai bahut kam is bahr mein simTaa huaa tufaan ghazal hai main 'ishq mein raahat ke tasavvur se huun vaaqif bechain miraa dil hai miraa dhyaan ghazal hai vaise to kai aur ta'aaruf bhi hain 'aasim' har bazm-e-sukhan mein miri pahchaan ghazal hai"
"ye dard zaraa saa bhi to kam ho nahin paayaa ik baar bhi dil khol ke main ro nahin paayaa mil kar bhi na milne kaa hai ye khel mohabbat vo DhunDh liyaa dil ne mire jo nahin paayaa us shaam bichhaDne kaa mujhe dukh to nahin thaa us raat magar chain se main so nahin paayaa main khoe hue dil kaa pata puchh rahaa huun dekhaa nahin tum ne to ye kah do nahin paayaa ik shakhs jise apnaa banaanaa thaa kisi taur ik shakhs kisi taur miraa ho nahin paayaa khvaahish thi khilaaun nai vahshat ke nae gul main 'ishq magar dil mein nayaa bo nahin paayaa ye kaifiyat-e-husn-e-gumaan khuub hai 'aasim' goyaa main use paa bhi chukaa go nahin paayaa"
"ham aap ki uljhan mein izaafa nahin karte jaaez bhi shikaayat ho to bejaa nahin karte ham khilqat-e-ghaibi ki banaate hain jamaa'at tanhaai mein sajda kabhi tanhaa nahin karte kyaa un se faraavaani-e-imkaan ki ummid jo log kisi buund ko dariyaa nahin karte kyon hijr bhalaa vasl ki qimat pe kharidein ham 'ishq mein nuqsaan kaa saudaa nahin karte duniyaa ke fasaadaat mein shaamil rahe 'aasim' vo log bhi jo khvaahish-e-duniyaa nahin karte"
"habs kaa haal sunaane ko sukhan maangti hai dar nahin maangti divaar dahan maangti hai mausam-e-hirs vo aayaa hai ki har shaakh-e-shajar phuul do-chaar nahin saaraa chaman maangti hai jism kartaa hai talab raat gae jab aaraam ruuh us vaqt 'ibaadat ki thakan maangti hai haath kyon baDh ke charaaghon ko nahin lau dete aankh kyon shaam ke suraj se kiran maangti hai tujh se ye kis ne kahaa Dar hai 'ibaadat ki asaas ye to be-laag lagi aur lagan maangti hai vo bataaein ki hai ehsaas ki qaumiyyat kyaa shaa'iri jin kaa ye kahnaa hai vatan maangti hai"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"khel duniyaa-e-'aarzi kaa huun ek kirdaar zindagi kaa huun mujh ko rakkhaa gayaa andhere mein main bhi haqdaar raushni kaa huun intihaa ke qarib hai duniyaa aadmi aakhiri sadi kaa huun dil ko ehsaas ho gayaa teraa mo'tarif teri dosti kaa huun main ne ghurbat mein 'ilm sikhaa hai main to maqruz muflisi kaa huun pur na hogaa jo mere baa'd kabhi ek aisaa khalaa kami kaa huun meraa dushman nahin 'khayaali' koi dost bhi main kisi kisi kaa huun"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"