Quote
"ye kaun apne andar bedaar ho gayaa hai meri anaa ke aage divaar ho gayaa hai ehsaas mere gham kaa izhaar ho gayaa hai tarkash kaa tiir phir se be-kaar ho gayaa hai din-raat ki kashaakash bezaar kar gai to laDne ko zindagi se tayyaar ho gayaa hai patthar ki be-hisi hai har daastaan dil ki tahzib kaa anokhaa meaar ho gayaa hai aankhein bataa rahi hain ik ek baat dil ki duniyaa ki chaahaton kaa aazaar ho gayaa hai apni haqiqaton se chehron ko kyaa chhupaaein aaina aap apnaa kirdaar ho gayaa hai"
